EHSAS
Kabhi jab shaam ki udas baanho me
bhini-bhini hawa jab tumse lipt jaye
samajh lena ki mai vo hoon.
Kabhi jab shaam me udas taaro ko dekhna
aur ek tara tumehe dekh timtima jaye
to samajh lena ki mai vo hoon.
Kabhi jab shaam ke surmai rang tere aanchal me bhar jaye
us pal jo ehsas ho tumhe
to samajh lena ki mai vo hoon.
Kabhi kisi shaaam kutch sochkar jab muskaro
aur mile tumhe ji bhar ke sukoon
to samajh lena ki mai vo hoon.
Kabhi bekhayli me jab tum yun hi muskuro
aur aankho me koi aks utar aaye
to samajh lena ki mai vo hoon.
Thare -thare se palo me jab khamoshi hi
awaaj ban jaye
to samajh lena ki mai vo hoon.
Khamosh nazron se jab neer ki kutch boonde chalke
aur vo moti ban jaye
to samajh lena ki mai vo hoon.
No comments:
Post a Comment