Monday, May 20, 2013

Ghani Palko Wali Aankhe







                         Ghani Palko Wali Aankhe

Ghani palko wali aankhon me

 N jaane kitne hai

Jindgi ke khawab,

Jo aakash ki taraf khulte hai

Jaroor aakash me

Satrangi sapne saje hai

Khule nayano se dekhte huye

N jane kitne

Khawab aaye gaye

Per

Ghani palko wali aankhon me

N jaane kitne hai  jindgi ke khawab
Abhi bhi.

                                          EHSAS
                                                 

Kabhi jab shaam ki udas baanho me
bhini-bhini hawa jab tumse lipt jaye
samajh lena ki mai vo hoon.

Kabhi jab shaam me udas taaro ko dekhna
aur ek tara tumehe dekh timtima jaye
to samajh lena ki mai vo hoon.

Kabhi jab shaam ke surmai  rang tere aanchal me bhar jaye
us pal jo ehsas  ho  tumhe
to samajh lena ki mai vo hoon.

Kabhi  kisi shaaam kutch sochkar jab muskaro
aur mile tumhe ji bhar ke sukoon
to samajh lena ki mai vo hoon.

Kabhi  bekhayli me jab tum yun hi  muskuro
aur  aankho me koi aks utar aaye
to samajh lena ki mai vo hoon.

Thare -thare se palo me jab khamoshi hi
awaaj  ban jaye
to samajh lena ki mai vo hoon.

Khamosh nazron se jab neer ki kutch boonde chalke
aur  vo moti ban jaye
to samajh lena ki mai vo hoon.




                               YAAD 

Kabhi  usko bhi mere yaad satati hogi
Apni aankho me mere khawab sajati hogi
Wo jo muslsal mere khayalon me basi rahti hai
kya usko bhi , yaad kabhi aati hogi ?
Kabhi  dekho  meri  aankho ki  betabi ko
Ek  tufaaan si khamoshi nazer aati hogi.
Barish  to mukammal  janha ke liye hoti hai 
Uski aankhe bhi kya , bheeg  jati hogi.
Yaadon  ne  zindgi ka her lamha chura liya
Tanhai  kya, lamho ki yaad dilati  hogi.
Koi  to  pooche  dard  hamse  hamara
Kisi ko mere dard ki, shumari  bhi aati  hogi.
Ab to  yaade hi, zindagi ka dard ban gayi hai
Kanhi  is dard ki dawa  to aati hogi.
Jaga  hoon  ke  saya  ye khabar  hi  nahi  hai
Meri aahat ki shabahat unhe nazar aati to hogi.